Friday, May 4, 2012

Hindi Shayari


Dil ki duniya mein….
Dil ki duniya mein dil hi se laga kar rakhte hain aapko,
in aansuon ko aapke intezaar me palkon pe saza kar rakhte hain ham to….
intezaar to bas aapke aane ka hai mere paas waapis,
Varna apni maut ka rath kab se sazakar baithe hain ham to.


Kaise dilayein vishwaas ham aapko!
Dhadakta hai mera dil par awaaj nahi aati,
roti hain meri aankhein par aansuen nahi behtin,
Kaise dilayein vishwaas ham aapko khud pe,
Jab jeete ham hain par wo saanse bhi meri nahi hotin.
I Love You!

SMS Shayari in Hindi
aksar jb erado mai jb chot lag jati hai .
uske baad na jane kyu neend nhi ati hai.
ye accha khayal hai jindadi jeene ka,
jindagi jaha se khatam hui nayi suruvaat waha ati hai …

Maa…
Maa se rishta aisa banaya jaae,
Jisko nigaaho me bithaya jae,
Rahe uska mera rishta kuch aisa ki,
Wo agar udaas ho to humse bhi muskuraya na jaae…

Raat ko raat ka tohfa nahi dete…
Raat ko raat ka tohfa nahi dete,
Dil ko jazbat ka tohfa nahi dete.
Hum to tumhe chand bhi de dete,
Magar chand ko chand ko tohfa nahi dete…


Ishq me aise arma bhi hote hain…
Ishq me aise arma bhi hote hain,
Khuli ankhon me bhi khwab hote hain.
Gam me hi ashq behte hain,
Par hansti ankhon me bhi shailab hote hain.
Mausam Jaisa Sawad Hai Waisa

http://shayari.co.in/wp-content/uploads/2011/12/Ishq-168x300.jpg

Ansu..
Zindgi Mein Ik Kahani Ansu..
Hasi Khushi Manmani Ansu..
Ik Ehsaas Biya.n Karte Huye
Kabhi Karte Baat Ruhani Ansu..
Mausam Jaisa Sawad Hai Waisa
Bachpan Budhapa Jawani Ansu..
Tanha Dhanwant Saath Nibhate
Yaari Dosti Ik Nishani Ansu..

Tuesday, November 1, 2011

Dil Ki Baat



Hum dil ke baat sunte rahe aur vo dil k sath khelte rahe,
hum yaad mein unke ansu bahate rahe aur vo ansu ko pani samjhte rahe,
hum sath unke chalte rahe aur vo pathar samjh k thukrate rahe…
  
Dard Bhari Shayari 

Sab kuch paker bhi mene khona sikha
Khuli aankhon se mene sona sikha
Kitna tadpa tha ye dil Jab
Hunsker bhi mene rona sikha..

Na mita saka uski yadon ko dil se
Isiliye aj khud ko mita raha hu
Pyar karta tha mein kitna usse
Aj usko nahi khudko bata raha hu…
 Kya karoon……?


Unko karib lane k chaah main,
Sabse dur hote gaye,
Wo karib na aaye,
Sab dur chale gaye.
Paas jaane k chaah main, unke
Sabse dur ho gaye,
Sabse anzaan bante gaye,
Wo hume anzaan kahe gaye.
Har khusi unki dekhne k liye,
Har waqt dur rahe unke nazroon se hum.
Jaan na paa-e wo hume,
Bhul gayi hume, do pal kya jo dur ho gaye hum.
Kitni kosisho k baad manaya,
Milne ko khudse,
Uss Milan main bhi bechadna tha,
Unko mujse.
Hum tho bas unhe kuch kehana chahate,
Per wo humse kuch sunna na chahate,
Khwaab main tho der raat baate kar leta,
Saamne unke main kuch bool na pata.
Kaise karu main bayaan labo se,
Karta tha main pyaar dil se,
Kash samaj jaati pyaar ko mere,
Na hona padta mujhe dur apno se.


Khwahish



Chashm Hairat Pe koi Darr Nahi Khulne Deta
Aankh Khul Jaye Toh Manzar Nahi Khulne Deta
Ek kwahish Mujhe Pasti Se Uthati Hai Magar
Ek Dar Hai Jo Mere Par Nahi Khulne Deta
Hath ki Saari Lakeerein Hain Jazeeroun Se Bhari
Aur Jazeeroun Ko Samander Nahi Khulne Deta
Taa Naa Khul Jaye Koi Nuqs Pass-E-Naqshgiri
Aaiyena Aks Ke Ander Nahi Khulne Deta
Koun Jaane Kise Maloom Haqeeqat Kya Hai
Bhed Apna Woh Kisi Par Nahi Khulne Deta
Ghair Leta Hai Muheet-E-Gham Laahasil Me
Phir Koi Raasta Bahar Nahi Khulne Deta
Phair Deta Hai Kabhi Mouj-Balaa Qaiz ka Ruqq
Aur Kabhi Aag Ka Johar Nahi Khulne Deta
Dekh Par Qaak Nasheenoun Ke Khudaiye Dawe
Tu Agar Daftar-E-Mehshar Nahi Khulne Deta

Poore Taalab Mein Mehndi Ki Mehak Aaj Bhi Hai


Uski Aankhon Me Mohabbat Ki Chamak Aaj Bhi Hai..
Haalanki Use Meri Mohabbat Par Shak Aaj Bhi Hai..
Naav Me Baith Kar Dhoye The,Hath Usne Kabhi..
Poore Taalab Me Mehandi Ki Mehak Aaj Bhi Hai..
Chhu To Nahi Paya Use Pyar Se Kabhi..
Par Mere Hooton Par Uske Hooton Ki Jhalak Aaj Bhi Hai.
Har Baar Puchte Hai, Humari Chahat Ka Sabab..
Waisi Hi Ishq Ki Ye Parak Aaj Bhi Hai..
Nahi Reh Pate Wo Bhi Humare Bina.
Dono Taraf Ishq Ki Dahak Aaj Bhi Hai.


Friendship Shayari 

Aapki Dosti Ko Ek Nazar Chahiye,
Dil He Beghar Use Ek Ghar Chahiye,
Bas Yuhin Saath Chalte Raho E Dost,
Yeh Dosti Humein Umar Bhar Chahiye.
`
Na Sathi Hai Koi, Na Humsafar Hai Koi,
Na Hum Kisi Ke, Na Humara Hai Koi,
Par Aapko Dekh Kar Keh Sakte Hai,
Ki Dost To Hamara Bhi Hai Koi…
`
Mushkilon Se Ghabrake Ab Jeena Nahi Chahte
Door Tumse Ho Kar Ab Rehna Nahi Chahte
Yun To Bahut Dost Aaye Is Zindagi Mein
Par Tum Jaise Dost Ko Khona Nahi Chahte..
`
Dosti Ki Gehrai Judai Mein Bhi Hoti Hai,
Baate To Hoti Rehti Hai.
Par Bina Baato Ki Dosti Jab Jinda Rahe,
Tabhi Usme Sachai Hoti Hai.
`
Koi Kehta Hai Dosti Nasha Ban Jaati Hai,
Koi Kehta Hai Dosti Saja Ban Jaati Hai,
Par Dosti Agar Sacchi Dil Se Karo Tho
Dosti Jeene Ki Wajah Ban Jaati Hai